[Roman Urdu] Haq Nama Lyrics
Daolat na jaah-o-mansab, na jism javedan hai
Zaat-e-bashar ki manzil, bus shehr-e-khamoshan hai
Hum ne to yahi dekha duniya teri mehfil mein
Jis ko hai talab jitni, utna hi pareshan hai
Ye ishq ne dekha hai, ye aql se pinhan hai
Qatre mein samandar hai, zarre mein bayaban hai
Ilm-ul-kitab tujh ko aata hai agar vaaez
Kyun raaz-e-jahan teri idraak se pinhan hai?
Sau baar tera daaman hathon mein mere aaya
Jab aankh khuli dekha apna hi girebaan hai
Tum ne jo basaarat di hum ne tabhi pehchana
Hum jis ko Khuda samjhay ik banda-e-yazdaan hai
‘Kun’ se to nahi chaltay insaan ke kaar-khanay
Tadbeer se amal se bantay hain sab zamanay
Hai inqalaab lazim fikr-o-amal mein warna
Haivaan mein aur bashar mein kuch farq hi kahan hai
—
Singer: Muhammad Samie
Poet: Muhammad Samie
Composer: Muhammad Samie
Director: Muhammad Samie
Video Concept: Muhammad Samie
DOP: Muhammad Samie
Post-Production: Muhammad Samie
Music Production: J Ali
Harmonium: Muhammad Samie
Recording, Mixing & Mastering: J Ali
Production House: Short Sufi Films
—
SPECIAL ACKNOWLEDGEMENT:
Girah: Asghar Gondvi
COMMENTS