[Roman Urdu] Dekhte Rahe Lyrics
Har-chand ehl-e-zarf-o-nazar dekhte rahe
Sab un ko hasb-e-taab-e-nazar dekhte rahe
Jin ki tajalliyaan theen ayaan jism-o-jaan mein
Kya zulm kiya un ko kidhar dekhte rahe!
Aaye na jab nazar wo nigaahon ke noor se
Dil mein phir un ko sham-o-sahar dekhte rahe
Keen band jab aankhen to meri khul gayin aankhen
Kya tum se kahun phir mujhe kya kya nazar aaya (Majzuub)
Dil mein phir un ko sham-o-sahar dekhte rahe
Hum ko raha na saqia kuch hosh-e-maikashi
Hum to teri nazar ka asar dekhte rahe
Teer-e-nazar se un ke to koi na bach saka
Ghaayal hue sabhi woh jidhar dekhte rahe
—
Singer: Muhammad Samie
Poet: Muhammad Samie
Composer: Muhammad Samie
Director: Muhammad Samie
—
AUDIO & VIDEO CREW
Music Production: J Ali
Cinematography: Suleman Shah
Color Grading: Suleman Shah
Music Direction: J Ali & Muhammad Samie
Post-Production: Muhammad Samie
Harmonium: Muhammad Samie
Art Work & Wardrobe: Muhammad Samie
Recording, Mixing & Mastering: J Ali
Production House: Short Sufi Films
COMMENTS