Ek Dil Lyrics – Muhammad Samie

Table of Contents

[Roman Urdu] Ek Dil Lyrics

Gham mujhe hasrat mujhe vehshat mujhe sauda mujhe
Aik dil de kar Khuda ne de diya kya kya mujhe (Seemab)

Hai husool-e-aarzu ka raaz tark-e-aarzu
Main ne duniya chhorh di to mil gai duniya mujhe (Seemab)

Hai azal ki is ajab bakhshi pe hairani mujhe
Ishq la-faani mila hai zindagi faani mujhe (Hafeez)

Dekhte hi dekhte duniya se main uth jaaunga
Dekhti ki dekhti reh jaaegi duniya mujhe (Seemab)

Saari duniya keh bhi de apna to mujh ko fikr kya
Mujh ko matlab is se hai bus tu kahe apna mujhe (Samie)

Is qadar dooba hua dil dard ki lazzat mein hai
Tera aashiq bheerh mein hi kyun na ho khalvat mein hai (Josh)
Mujh ko matlab is se hai bus tu kahe apna mujhe

Do jahan ki muskurahat tere gham pe ho nisaar
Tera gham mera tabassum mera fakhr-o-inkisaar (Samie)
Mujh ko matlab is se hai bus tu kahe apna mujhe

Gharq kar deti hai kashti nakhuda ki bekhudi
Chorh de wo maikada saqi jahan mad-hosh hai
Keh raha hai shor-e-dariya se samandar ka sukoot
Jis ka jitna zarf hai utna hi wo khamosh hai (Natiq)
Mujh ko matlab is se hai bus tu kahe apna mujhe

Singer: Muhammad Samie
Composition & Arrangements: Muhammad Samie
Lyrics’ Selection & Arrangement: Muhammad Samie
Poets: Seemab Akbarabadi | Natiq Lakhnavi | Hafeez Jalandhari | Josh Malihabadi | Muhammad Samie
======================================
Video Director: Muhammad Samie
Post-Production: Muhammad Samie
Art Work & Video Concept: Muhammad Samie
Music Production, Mixing and Mastering: J Ali
DoP: Muhammad Samie & J Ali
Wardrobe: Muhammad Samie
Calligraphy: Atta-ur-Rehman
Video Production House: Short Sufi Films

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.

0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x