[Roman Urdu] Wo Jali Hai Ya Khafi Hai Lyrics
Wo jali hai ya khafi hai kya bayaan ho zabaan se
Usay sochne samajhne ki bisaat ho kahaan se
Teri aarzoo se khali hai jo dil wo be-sukoon hai
Teri aarzoo hai jis ko, usay bhi sukoon kahan se
Wohi jab tera hai humdum, yahi teri bandagi hai
Be-niyaaz reh zameen se, be-gharaz ho aasmaan se
Sirr-e-nihaan hai lekin, aa raaz faash kar doon
Jo na paa saka hai khud ko, usay paaye ga kahan se
Har hadd ke paar hai wo, wo hadon mein bhi ayaan hai
Jo sama gaya nazar mein, wo Khuda hua kahaan se
Wo na aa saka samajh mein
Na sama saka nazar mein
Hai parda nasheen lekin
Jalwa-numa hai sab mein
Saqi ki nigahon mein
Murshid ki panahon mein
Mulla ki kitaabon mein
Pardon mein hijaaabon mein
Har dukh ki dawa mein bhi
Har chup ki sada mein bhi
Is aab-o-hawa mein bhi
Is arz-o-sama mein bhi
Majzoob ki sohbat mein
Aashiq ki mohabbat mein
Maa baap ki soorat mein
Is mitti ki moorat mein
Moosa a.s. ke asaa mein bhi
Eesa a.s. ki shifa mein bhi
Yahya a.s. ki haya mein bhi
Yusuf a.s. ki adaa mein bhi
Younus a.s. ke wazeefay mein
Nabiyon a.s. ke saheefay mein
Qur’aan ke khazeenay mein
Makkay mein madinay mein
Zainab s.a. ki zabaan mein bhi
Akbar a.s. ki azaan mein bhi
Haider a.s. ki willa mein bhi
Zahra s.a. ki dua mein bhi
Abbas a.s. ke jazbay mein
Shabbir a.s. ke sajday mein
Narra-e-Haideri a.s. mein
Noor-e-Muhammadi s.a.w.w. mein
—
Singer: Muhammad Samie
Poet: Muhammad Samie
Composer: Muhammad Samie
—
AUDIO CREW:
Music Production: @Jay_ali
Harmonium: Muhammad Samie
Tabla: Irfan Aly
Electric Guitar: Shahaan
Recording, Mixing & Mastering: J Ali
—
VIDEO CREW:
Director: Muhammad Samie
Video Concept: Muhammad Samie
DOP: Muhammad Samie
Second DOP: Ali Asad
Post-Production: Rizwan Mehmood
Drone Controller: Ramzan
Production Assistant: Sunil Morris
Art Work & Wardrobe: Muhammad Samie
Production House: Short Sufi Films
—
SPECIAL ACKNOWLEDGEMENT:
Muhammad Sarmad Hassan
Atta-ur-Rehman
COMMENTS