Bekhud Lyrics – Muhammad Samie

Table of Contents

Description
“Bekhud kiye dete hain andaaz-e-hijaabana” is a famous Urdu ghazal written by Mir Taqi Mir. Ghazals typically explore themes of love, longing, and spirituality, often in a poetic and romantic manner. While it’s not a nasheed in the traditional sense, it does reflect deep emotions and devotion, particularly towards the Divine.

[Roman Urdu] Bekhud Lyrics

Bekhud kiye dete hain andaaz-e-hijaabana

Aa dil mein tujhe rakh loon ay jalwa-e-janana

Itna to karam karna aye nargis-e-mastana

Jab jaan labon par ho tum saamne aa jana

Dunya main mujhay tum ne jab apna banaya hai

Mehshar mein bhi keh dena yeh hai mera deevana

Manzil mere maqsad ki ka’aba hai na but-khana

In donon se agay chal ai himmat-e-mardana

Manzil mere maqsad ki ka’aba hai na but-khana

[chorus]

Zair-e-zameen rahoon keh tah-e-aasman rahun

Ai justaju-e-yaar bata mein kahan rahun … !!!

Manzil mere maqsad ki ka’aba hai na but-khana

[chorus]

Le kar haram main shaikh gaya deen ki talab

Pandit ko but-kade main dharam ki talaash hai

Mera dharam yahi hai keh mil jaae tu mujhe

Mujh ko teri nigaah-e-karam ki talaash hai … !!!

Manzil mere maqsad ki ka’aba hai na but-khana

[chorus]

Vaaiz kamaal-e-tark se milti hain muraadain

Duniya jo chorh di hai to uqba bhi chorh de

Hai aashiqi main rasm alag sab se baithna

But-ḳhana bhi haram bhi kaleesa bhi chorh de … !!!

Manzil mere maqsad ki ka’aba hai na but-khana

[chorus]

Ab admi kuch aur hamari nazar mein hai

Jab se suna hai yaar libas-e-bashar mein hai

Sehn-e-Haram mein hai na button ke nagar mein hai

Jis ki tujhe talash hai voh dil ke ghar mein hai … !!!

Manzil mere maqsad ki ka’aba hai na but-khana

[chorus]

Ay Jalwa-e-janana ay jalwa e janana

Ay Jalwa-e-janana ay jalwa e janana

[chorus]

Vahdat men teri harf dui ka na aa sake

Aina kya majaal tujhe munh dikha sake

Arz-o-samaa kahan teri vus’at ko paa sake

Mera hi dil hai voh keh jahan tu sama sake … !!!

Aa dil mein tujhe rakh loon ay jalwa-e-janana

[chorus]

Jo naqsh hai hasti ka dhoka nazar aata hai

Parde pe musavvir hi tanha nazar aata hai … !!!

Aa dil mein tujhe rakh loon ay jalwa-e-janana

[chorus]

Us chashm-e-ba-suroor ka aalam na poochiye

Ik ik nigaah hai kaee aalam liye hue

Uth ai naqaab-e-yaar keh baithe hain der se

Kitne ghareeb deeda-e-pur-nam liye hue … !!!

Maikhana-e-hasti mein mai-kash vohi mai-kash hai

Sambhle to behak jaye behke to sambhal jaye

Ai jalwa-e-janana phir aisi jhalak dikhla

Hasrat bhi rahe baqi armaan bhi nikal jaye … !!!

Aa dil mein tujhe rakh loon ay jalwa-e-janana

[chorus]

Mujhe teri aarzu hai meri ḳhalvaton main aa ja

Mujhe vaasta hai tujh se mere dil main tu sama ja

Meri zindagi ke maalik meri zindagi main aa ja

Tujhe dhoondhti hain nazren mujhe ik jhalak dikha ja … !!!

Aa dil mein tujhe rakh loon ay jalwa-e-janana

[chorus]

Bas jaan gaya main teri pahchaan yahi hai

Tu dil men to aata hai samajh men nahin aata … !!!

Aa dil mein tujhe rakh loon ay jalwa-e-janana

[chorus]

Meeri mein faqiri mein shahi mein ghulami mein

Kuch kaam nahin banta be-jurr’at-e-rindana

Mit kar bhi rahe baqi jo tujh pe mitay saqi

Mit’tay hain to bante hain khaak-e-dar-e-maikhana … !!!

Peeney ko to pee loon ga par shart zara see hai

Saqi ho Najaf ka aur karbal ka ho maikhana

Hum aasiyon par Rab ne ye ehsaan kiya hai

Hum ko aseer-e-Haider-e-Karrar A.S. kiya hai

Aati hai sada aaj bhi karbal ki zameen se

Milne ka nahin hamsar-e-Shabbir A.S. kaheen se

Hariaan hun mein us shakhs pe jis ne ye na jana

Awwal bhi hai afzal bhi Muhammad S.A.W.W. ka gharana

Saqi ho Najaf ka aur karbal ka ho maikhana

[chorus]

Bekhud kiye dete hain andaaz-e-hijaabana

Aa dil mein tujhe rakh loon ay jalwa-e-janana
——–
Singer: Muhammad Samie

Composition: Muhammad Samie

Lyrics’ Selection & Arrangement: Muhammad Samie

Poets: Bedam Shah Warsi | Allama Iqbal | Khawaja Meer Dard | Akbar Allahabadi | Asghar Gondvi | Jaleel Manikpuri | Muztar Khairabadi | Fana Bulandshahri | Fana Nizami Kanpuri | Dattatriya Kaifi | Muhammad Samie

Music: Jay Ali

Release Date: June 19, 2021

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.

0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x