Yaad Lyrics – Muhammad Samie

Table of Contents

Description
“Dil woh abaad nahi jis mein teri yaad nahin” is another Urdu ghazal, expressing the sentiment that the heart cannot find peace without the remembrance of the beloved. It’s not a nasheed in the traditional sense but shares themes of longing and devotion often found in Sufi poetry.

[Roman Urdu] Yaad Lyrics

Dil woh abaad nahi jis mein teri yaad nahin
Hai woh kafir jo teri raah mein barbaad nahin

Dard ka had se guzarnaa hai davaa ho jaanaa
Ishrat-e-qatra hai dariyaa mein fanaa ho jaanaa

Meri mai’raaj-e-sukhan zikr tera sham-o-sahar
Meri hasti ki baqa tujh mein fana ho jaanaa

Ay gham-e-yaar tere dam se hai ta’meer-e-hayat
Tu salamat hai to hasti meri barbaad nahin

Us ki hasrat hai jise dil se mita bhi na sakun
Dhundne us ko chala hun jise paa bhi na sakun

Dhundne ko tujhe ay mere na milne wale
Woh chala hai jise apna hi pata yaad nahin

Jaam jab peene lage mu se kaha bismillah
Yeh na samjhe koi rindon ko Khuda yaad nahin

Sar hai sajday mein tera dil mein talab hooron ki
Falsafa rasm-e-ibaadat ka tujhe yaad nahin

Khaak urhao keh yeh woh daor-e-sitam hai logo
Sab ko sab ki hai khabar, apna kiya yaad nahin


Singer: Muhammad Samie

Composition: Muhammad Samie

Lyrics’ Selection & Arrangement: Muhammad Samie

Poets: Bu Ali Shah Qalandar | Allama Iqbal | Meer Taqi Meer | Mirza Ghalib | Bedam Shah Warsi | Baba Zaheen Shah | Qamar Jalalvi | Qateel Shifai | Seemab Akbarabadi | Muhammad Samie

Music: Jay Ali

Release Date: February 6, 2021

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x