Banaam-e-Haider 2 Lyrics – Muhammad Samie

[Roman Urdu] Banaam-e-Haider 2 Lyrics

Mash’hoor jis ke faqr ki jagg mein kahaniyan
Bikhri hain jis ke rukh pe Khuda ki nishaniyan
Jis ke qadam ki gard bane kamraniyan
Woh jis ke bachpanay pe hon qurbaan jawaniyan
Sajde ghulam jis ke ibadat kaneez ho
Guftaar jis ki zaoq-e-shahad se lazeez ho
Eeman-o-kufr mein jo nishan-e-tameez ho
Khud apni zindagi se jisay haq azeez ho

Wo hai Mehboob-e-Nabi (SAWW) Sher-e-Khuda Haq ka Wali

Ali Ali Ali Ali (A.S.)[Chorus]

Ali Mehboob-e-Nabi (SAWW) Sher-e-Khuda Haq ka Wali

Ali Ali Ali Ali (A.S.)[Chorus]

Ali Maolood-e-Haram
Dosh-e-Ahmad (S.A.W.W.) pe qadam
Torhain kaabay ke sanam
Qazi-e-arb-o-ajam
Dekhna jis ko ibaadat ho woh hai roo-e-Ali (A.S.)

Ali Ali Ali Ali (A.S.)[Chorus]

Run mein jo apni taigh se mehshar bapa kare
Deen-e-Muhammadi (S.A.W.W.) ka lahoo se difa kare
Mangay koi qatra to samandar ataa kare
Jis ka pisar hi dasht ko karb-o-bala kare
Tu hai janbaaz-e-Nabi (S.A.W.W.)
Tu hai hamraaz-e-Nabi (S.A.W.W.)
Tera khoon khoon-e-Nabi (S.A.W.W.)
Tu hai Haroon-e-Nabi (S.A.W.W.)
Waris-e-ilm-e-Nabi (S.A.W.W.), nafs-e-Payambar (S.A.W.W.) bhi Ali (A.S.)

Ali Ali Ali Ali (A.S.)[Chorus]

Marhab Shikan wo din mein to shab ko salaat mein
Lao to koi misl-e-Ali kainaat mein

Ali Ali Ali Ali (A.S.)[Chorus]

Aa dekh zara haalat-e-Haider sujood mein
Hai bandagi tamaam Ali ke wajood mein
Zehnon mein samaata hai kahan mansab-e-Haider
Samjhe ga ehl-e-zarf hi bus matlab-e-Haider
Nabi (S.A.W.W.) shams aur wo qamar
Ali Waliyon ka fakhar
Wo imamat ka shajar
Najaf Ashraf ka kunvar

Waaezo nasl-e-Imamat inhi ke ghar se chali

Ali Ali Ali Ali (A.S.)[Chorus]

Tu gaohar-e-nayaab hai duniya ke sadaf mein
Duniya mein najaf hai meri dunya hai najaf mein

Ali Ali Ali Ali (A.S.)[Chorus]

Haider Khuda ki jood-o-inayat ka naam hai
Haider Rasool-e-Haq (S.A.W.W.) ki khilafat ka naam hai
Haider rida-e-athar-e-Zahra (S.A.) ka naam hai
Haider Hassan Hussain ki shoukat ka naam hai
Haider azal se noor-e-wilayat ka naam hai
Haider qalandaron ki hararat ka naam hai
Haider sadaqaton ki adalat ka naam hai
Haider munafiqon ki alalat ka naam hai

Ali dam dam Ali har dam mere Maula hain Ali (A.S.)

Ali Ali Ali Ali (A.S.)[Chorus]

Kyun kar teri nazeer mile Syed-o-Safdar
Baad az Nabi (S.A.W.W.) Samie ka tu hi qissa mukhtasar

Ali Ali Ali Ali[Chorus]


Singer: Muhammad Samie
Composition: Muhammad Samie
Poet: Muhammad Samie
Music: Jay Ali
Release Date: February 29, 2020

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.

0 Comments
Oldest
Newest Most Voted
Inline Feedbacks
View all comments
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x