Tera Aastan Lyrics – Muhammad Samie

[Roman Urdu] Tera Aastan Lyrics

Tera astaan to na mil saka teri rahguzar ki zameen sahi
Hamain sajda karne se kaam hai, jo wahan nahi to yaheen sahi

Meri zindagi to firaq hai, wo azal se dil main makeen sahi
Wo nigaah-e-shauq se door hain, rag-e-jaan se laakh qareen sahi

Kabhi ae haqiqat-e-muntazar! nazar aa ibas-e-majaz mein
Ke hazaron sajde tarap rahe hain meri jabeen-e-niaz mein

Na kaheen jahan mein aman mili, jo aman mili to kahan mili
Mere jurm-e-khana kharab ko tere ufuv-e-banda nawaz mein

Mujhe bhaithne ki jagah milay, meri aarzoo ka bharam rahay
Teri anjuman men agar nahin, teri anjuman ke qareen sahi

Sar-e-toor ho, sar-e-hashr ho, hamain intezaar qubool hai
Wo kabhi milen, wo kahin milen, wo kabhi sahi, wo kaheen sahi

Wasl-o-firaaq-e-yaar ka qissa ajeeb hai
Jitna mein us se door wo utna qareeb hai

Deta to hai sada wo mujhe sash jahaat se
Ab mein na sun sakoon to yeh mera naseeb hai

Likha hai yeh kitaab-e-mohabbat ke baab mein
Mushkil usi qadar hai jo jitna habeeb hai

Kasrat mein bhi vahdat ka tamasha nazar aaya
Har cheez mein aks-e-ruḳh-e-zeba nazar aaya

Tu kab kisi talib ko sarapa nazar aaya
Dekha tujhe utna jise jitna nazar aaya

Tu ru-ba-ru ho kar bhi nigahon se chupa hai
Tu ho ke ayaan bhi pas-e-parda nazar aaya

Sajda jo kiya haar ke dunia ki jafa se
Aayi sada aakhir mera hi dar nazar aya

Hairat mein hun kis baat ki hai mujh pe inayat?
Mujh kamtar-o-bad-tar mein tujhe kya nazar aaya?

Kaise main kahoon yeh keh tu nazron se chupa hai?
Sab chor gaye jab tu hi tanha nazar aaya

Guzra jo tasawwur mein teri raah-e-fana se
Haider kahin Shabbir-o-Qalandar nazar aya

Tu mera bhi khaliq hai Muhammad (S.A.W.W.) ka bhi khaliq
Kaisa yeh khata-kaar ko rishta nazar aaya

Tu laakh chupay mujh se ay khalaaq-e-do-alam
Har zarra tera parda uthata nazar aaya

Woh meri nazar se chupen ge kya, jo makeen hain mere khayaal mein
Unhen jab bhi chahoon mein dekh loon, mein kaheen sahi woh kaheen sahi


Singer: Muhammad Samie

Composition: Muhammad Samie

Lyrics’ Selection & Arrangement: Muhammad Samie

Poets: Muhammad Samie | Syed Naseer-ud-Din Naseer | Allama Iqbal | Khawaja Majzuub | Jigar Muradabadi

Music: Jay Ali

Release Date: October 3, 2020

[Verses Written By] Tera Aastan Lyrics

VERSES WRITTEN BY MUHAMMAD SAMIE:
Wasl-o-firaaq-e-yaar ka qissa ajeeb hai
Jitna mein us se door wo utna qareeb hai
Deta to hai sada wo mujhe sash jahaat se
Ab mein na sun sakoon to yeh mera naseeb hai
Likha hai yeh kitaab-e-mohabbat ke baab mein
Mushkil usi qadar hai jo jitna habeeb hai

Tu ru-ba-ru ho kar bhi nigahon se chupa hai
Tu ho ke ayaan bhi pas-e-parda nazar aaya

Sajda jo kiya haar ke dunia ki jafa se
Aayi sada aakhir mera hi dar nazar aya
Hairat mein hun kis baat ki hai mujh pe inayat?
Mujh kamtar-o-bad-tar mein tujhe kya nazar aaya?
Kaise main kahoon yeh keh tu nazron se chupa hai?
Sab chor gaye jab tu hi tanha nazar aaya

Guzra jo tasawwur mein teri raah-e-fana se
Haider kahin Shabbir-o-Qalandar nazar aya
Tu mera bhi khaliq hai Muhammad (S.A.W.W.) ka bhi khaliq
Kaisa yeh khata-kaar ko rishta nazar aaya
Tu laakh chupay mujh se ay khalaaq-e-do-alam
Har zarra tera parda uthata nazar aaya

----------

VERSES WRITTEN BY SHAD AZEEMABADI:
Tera astaan to na mil saka teri rahguzar ki zameen sahi
Hamain sajda karne se kaam hai, jo wahan nahi to yaheen sahi

----------

VERSES WRITTEN BY SYED NASEER-UD-DIN NASEER:
Meri zindagi to firaq hai, wo azal se dil main makeen sahi
Wo nigaah-e-shauq se door hain, rag-e-jaan se laakh qareen sahi
Mujhe bhaithne ki jagah milay, meri aarzoo ka bharam rahay
Teri anjuman men agar nahin, teri anjuman ke qareen sahi
Sar-e-toor ho, sar-e-hashr ho, hamain intezaar qubool hai
Wo kabhi milen, wo kahin milen, wo kabhi sahi, wo kaheen sahi

----------

VERSES WRITTEN BY ALLAMA IQBAL:
Kabhi ae haqiqat-e-muntazar, nazar aa ibas-e-majaz mein
Ke hazaron sajde tarap rahe hain meri jabeen-e-niaz mein
Na kaheen jahan mein aman mili, jo aman mili to kahan mili
Mere jurm-e-khana kharab ko tere ufuv-e-banda nawaz mein

----------

VERSES WRITTEN BY KHAWAJA MAJZUUB & JIGAR MURADABADI:
Kasrat mein bhi vahdat ka tamasha nazar aaya
Har cheez mein aks-e-ruḳh-e-zeba nazar aaya
Tu kab kisi talib ko sarapa nazar aaya
Dekha tujhe utna jise jitna nazar aaya

----------

VERSES AMENDED BY MUHAMMAD SAMIE:
Wo meri nazar se chupain ge kya jo makeen hain mere khayal mein
Unhain jab bhi chahoon mein dekh loon, mein khaheen sahi wo kaheen sahi

COMMENTS

Subscribe
Notify of
guest

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.

0 Comments
Inline Feedbacks
View all comments
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x